Sunday, June 7, 2015

Kabhi to ..

Baaqi nah rahaa aah-o baqa meiN to asar bhi
Zaaya hi hui jo thi bachi meri qadar bhi

Dil mera rahey qaabu meiN, kaise tha ye mumkin
Aanchal jo giraa shaane se, lachki thi kamar bhi

Paas aate nahiN, duur se kehte hain woh mujh se
Hoga tu farishta hii, magar hai to bashar bhi

Aey ishq, khuda samjhe tujhe, kya kiya tu ne
Hai dil ko jalaa daala mere, saath jigar bhi

Mushkil hua jeena bhi , tere ishq mein mera
Aye bekhabar, kya tujh ko mili hai ye khabar bhi?

Aye chashm-e ghalat, kuch to inaayat ho idhar bhi
Kaafi hai tasalli ko meri eik nazar bhi

Aakhir kabhi to hogi is zulmat ki seher bhi
Hoga dua mein meri kabhi kuchh to asar bhi

PaaouN nijaat main bhi jahaan-e kharaab se
Keh de tu ek baar "Parey jaa ke tu mar bhi"

Uth'taa hai dhuaaN jis ja falak ko zameen se
Alvi hai sulagta wahaan pe zer-e qabar bhi

No comments:

Post a Comment