Wednesday, September 16, 2015

Aa Phir Mujhy Choor Ke Jane Ke Liye ...


Aa Phir Mujhy Choor Ke Jane Ke Liye

Usay apnay farda ki fikar thi, Wo jo mera waqif e haal tha,
Wo jo uski Subha urooj thi, Wohi mera Waqt e zawaal tha,
Mera dard kaisay wo janta, Meri baat kaisay wo maanta,
Wo to khud fana k safar pe tha, Usay rokna bhi mahaal tha,
Kahan jao gey mujhay chorr ker, Main yeh puch puch k thak gya,
Woh jawab mujh ko na de saka, Woh to khud sarapa sawal tha,
Wo jo usk samnay agaya, Wohi roshani me naha gaya,
Ajab uski Haibat e husn thi, Ajab uska raub e jamaal tha,
Dam e wapisi usay kia hua, Na wo roshani na wo tazgi,
Wo sitaara kaisey Bikhar gaya, Wo to aap apni misaal tha,
Wo mila to sadiyon k baad bhi, Meray lab pe koi gila na tha,
Usay meri chup ne rula diya, Jisay Gufutgu me kamaal tha,
Meray saath lag k wo ro diya, Mujhy fakhri itna wo keh saka,
Jisay jaanta tha Zindagi, Wo to sirf wehm e khayal tha!!!!!!

No comments:

Post a Comment