Saturday, November 7, 2015

Hum The Baas Koi Tisra Na Tha


hum the humare saath koi tiisra na tha
aisaa haseen din kahiiN dekha suna na tha 
aankhoN meN us ke tair rahe the haya ke rang 
palkeN uThha ke meri taraf dekhta na tha 
kuChh aise us ki jhiil si aankheN thi har taraf 
hum ko sivaaye Duubne ke raasta na tha 
haathoN meiN der tak koi Khushbu basi rahi
darvaaza-e-chaman tha voh band-e-qaba na tha 
us ke to ang ang meiN jalne lage diye 
jaadu hai mere haath meiN, mujh ko pata na tha 
us ke badan ki lau se thi kamre meiN , raushni khiRki meiN 
chaand, taaq meiN koi diyaa na tha kal raat 
voh nigaar hua aisa multafat aksoN ke darmiyaan 
koi aaina na tha saansoN meiN the gulaab 
to honToN pe chaandni inn manzaroN se 
maiN to kabhi aashna na tha royaa kuchh iss tarah 
mere shaane se lag ke voh aise laga ke jaise kabhi bevafa na tha 
hai ishq ek rog, muhabbat azaab hai 
ek roz yeh kharaab kareN ge, kaha na tha! Amjad 
vahaaN pe har koii rehte bhi kis tarah 
rukne ko keh raha tha magar rokta na tha..

No comments:

Post a Comment