Kaali kaali aankhon mein ,
Kho kar dekho raaton mein ..
Tu hai baahon mein phir bhi ,
Gum hun teri yaadon mein ..
Main toh safar kaa aadi hun ,
Bichdi manzil raahon mein ..
Duniya duniya karti ho ,
Duniya mere pairon mein ..
Roshni teri rukh ki jun ,
Suraj nikla raaton mein ..
Maut hi aa jaye kash ab ,
Baahon mein hun khawabon mein ..
Tum phoolon ki rani ho ,
Main basta hun kaanton mein ..
Dheere dheere maregi ,
Haaye mohabbat kishton mein ..
Waise bhi to marna hai ,
Marne do phir un aankhon mein ..
Tum to mohabbat mein ho yaar ,
Aankhein dekho aankhon mein ..
Tum to khud aik misraa ho ,
Kyun parti ho ghazlon mein
Baatein karte karte tum ,
Aa jaati ho baaton mein ..
Jaan hai us gull ruu ko hamza ,
Aur hazrat hai yaaron mein ...
¨°º¤ø„¸ ¸„ø¤º°¨
¨°º¤ø„¸ ¸„ø¤º°¨

No comments:
Post a Comment